Uski Kudrat Dekhta Hun Teri Aankhein Dekhkar,Do Piyalon Mein Bhari Hai Kaise Lakhon Man Sharab
Uss Ghadi Dekho Unka Aalam, Neend Se Jab Hon Bhojhal Aakhein, Kaun Meri Najar Mein Samaaye, Dekhi Hain Maine Tumhari Aankhein
Yeh Muskurati Huyi Aankhein, Jin Mein Raks Karti Hai Bahaar, Shafaq Ki, Gul Ki, Bijliyon Ki Shokhiyan Liye Huye
Adaa Nigaahon Se Hota Hai Farz-e-Goyai, Jubaan Ki Hadd Se Jab Shauk-e-Bayaan Gujrata Hai
Adaa Se Dekh Lo Jaata Rahe Gila Dil Ka,Bas Ik Nigaah Pe Thhehra Hai Faisla Dil Ka
Bina Puchhe Hi Sulajh Jati Hai Sawalon Ki Gutthiyan, Kuchh Aankhein Itni Hazr-Jawaab Hoti Hain
Ek Si Shokhi Khuda Ne Di Hai Husno-Ishq Ko,Fark Bas Itna Hai Wo Aankhon Mein Hai Yeh Dil Mein Hai
Jaane Kyun Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar, Ek Dariya Hain Ya Poora Samandar Hain Teri Aankhein
Kabhi Baitha Ke Samne Puchhenge Teri Aankhon Se, Kisne Sikhaya Hai Inhein Har Dil Mein Utar Jana
Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kayi Iss Jahan Ke,UsKi Haseen Aankhon Mein Jab Jhankta Hoon Main
Log Kehte Hain Jinhein Neel-Kanwal Wo Toh Qateel, Shab Ko Inn Jheel Si Aankhon Mein Khila Karte Hain
Log Kehte Hain Jinhein Neel-Kanwal Wo Toh Qateel, Shab Ko Inn Jheel Si Aankhon Mein Khila Karte Hain
Mast Aankhon Par Ghani Palkon Ki Chhaya Yun Thi,Jaise Ki Ho Maikhane Par Ghanghor Ghata Chhayi Huyi
Nigaahon Se Qatal Kar De Na Ho Takleef Dono Ko, Tujhe Khanjar Uthhane Ki Mujhe Gardan Jhukane Ki