Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaaye Nahi MitTa,Bhigi Hui Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhein
Yeh Muskurati Huyi Aankhein, Jin Mein Raks Karti Hai Bahaar, Shafaq Ki, Gul Ki, Bijliyon Ki Shokhiyan Liye Huye
Uss Ki Aankhon Mein Najar Aata Tha Saara Jahaan Mujh Ko,Afsos Unn Aankhon Mein Kabhi Khud Ko Nahi Dekha Maine
Meri Aankho Mein Jhankne Se Pehle,Jara Soch Lijiye Aye Huzoor…Jo Humne Palke Jhuka Li Toh Qayamat Hogi,Aur Humne Nazrein Mila Li Toh Mohabbat Hogi
Mere Honthhon Ne Har Baat Chhupa Rakhi Thi,Aankhon Ko Ye Hunar Kabhi Aaaya Hi Nahin
Mehfil Ajeeb Hai Na Yeh Manzar Ajeeb Hai,Jo Usne Chalaya Woh Khanjar Ajeeb Hai,Na Doobne Deta Hai Na Ubarne Deta Hai,Uski Aankhon Ka Woh Samandar Ajeeb Hai
Jaati Hai Iss Jheel Ki Gehraayi Kahan Tak,Aankhon Mein Teri Doob Ke Dekhenge Kisi Roj
Itne Sawaal The Mere Paas Ke,Meri Umar Se Na Simat Sake,Jitne Jawaab The Tere Paas Sabhi,Teri Ek Nigah Mein Aa Gaye
Main Darr Raha Hun Tumhari Nasheeli Aankhon Se,Ke Loot Lein Na Kisi Roj Kuchh Pila Ke Mujhe
Aye Waiz-e-Nadaan Karta Hai,Tu Ek Qayamat Ka Charcha,Yehan Roj Nigaahein Milti Hain,Yehan Roj Qayamat Hoti Hai
Agar Kuchh Sikhna Hi Hai,Toh Aankhon Ko Parhna Seekh Lo,Varna Lafz Ke Matlab Toh,Hajaaron Nikaal Lete Hain